Swarang

May 14, 2010

Simply Manish

Filed under: Compositions — Swarang @ 5:53 pm
Tags: ,

The poem dedicated to me from one of my dear junior who seems to get inspired from my poetry ЁЯШЫ
Nicely written. Even I dint know this much about myself!! Thanks to you bro. Miss you and and…
On special request, I’m keeping his identity anonymous.

Jab yaad karo us dost ko,
Jo sabke dilon mein rehte hain,
Ye wahi hain, jinhe Simply Manish kehte hain!
Padhai mein inka jawaab nahi,
Kavita bhi ye karte hain,
Ye wahi hain, jinhe Simply Manish kehte hain!
Khelon se ye dur hain rehte,
Samay bandhan mein rehte hain,
Ye wahi hain, jinhe Simply Manish kehte hain!
Juniors ke ye hain favorite,
Pooja paath bhi karte hain,
Ye wahi hain, jinhe Simply Manish kehte hain!
Meri hai ye pehli kavita,
Apne bade bhai ko samarpit karta hun,
Saath rahe aisa dost hamesha,
Aisi kaamna karta hun;
Khushiyaan mile inhe jivan mein,
Jo sabko khushiyaan dete hain,
Ye wahi hain, jinhe Simply Manish kehte hain!

Create a website or blog at WordPress.com